tu ne sard hawaon ki zaban sikhi hai tere thande lams se dhadkanen yakh-basta huin aur main chup hun main ne waqt-e-subh chidiyon ki surili chahchahahat ko suna hai aur mere zehn ke sagar mein naghme bulbule ban kar uthe hain tere kadwe bol se har-su hain aawazon ke lashe aur main chup hun main ne wo masum pyare gul-badan dekhe hain jin ke marmarin jismon mein pakiza mohabbat ke nasheman hain tere in khurdure hathon ne ye sare nasheman noch dale aur main chup hun main ne dekhe hain wo chehre chand jaise ghuncha-surat jin ki aankhen aaina hain aane wale mausamon ka tu ne un aankhon mein bhi kante chubhoe aur main chup hun ba-kamal o ba-safa wo log bhi dekhe hain main ne jin ke honton se khile hain sidq o danai ke phul tu ne un honton ko ghola zahr mein aur main chup hun