yahan kabhi kabhi dhup bhi zina zina yun utri hai jaise ajnabi ho aur mujhe wo log yaad aae hain jo apne watan se bichhad gae muhajir jila-watan jinhon ne samjha tha ki ajnabi shahr mein maut kam logon ko aati hai jo yahan is guman mein aae the ki aafiyat daim rahegi tum ne dhalte sayon ki siyasat se gurez kiya hai tum dhup se dare ho tum ne aankh yun band kar li hai jaise pakki int hai mere tumhaare darmiyan ab roz-marra hamdardiyon ke lafz bhi nahin