jis tarah hasraton ke marghat mein dhire dhire sulag raha ho dhuan jis tarah ho kisi sitare par ek bujhte hue diye ka guman jis tarah mit rahi ho ban ban kar yas-angez waqt ki tahrir is tarah tere surkh honton par kanpti hai ghane dhuen ki lakir khelte hain faza ki sanson se nanhe nanhe tilismi mar gole halke nile dhuen ki lahron se dhulne lagti hai gard ranj-o-mehan tere har ek kash ki talkhi mein dub jati hai zindagi ki thakan hashr-samaniyan tafakkur ki jab bhi leti hain dil mein angdai tujh ko rah rah ke yaad karti hai sham-e-gham ki udas tanhai ye to sab kuchh durust hai lekin aaj ki raat main akela hun band kamra hai aur khamoshi hadse kar rahe hain meri talash zehan ko das rahi hai fikr-e-maash kya karun kya karun kidhar jaun tujh se kis tarah dil ko bahlaun sochta hun ki gharq ho jaun tere kadwe dhuen ki khushbu mein lekin aisa bhi ho nahin sakta tere kadwe dhuen ki khushbu mein gham ka ehsas kho nahin sakta tu mere gham ko kya mitaega tu bhi meri tarah hai shoala-fishan mere sine mein jal rahi hai aag tere sine se uth raha hai dhuan mere dil mein bhi soz palta hai main bhi jalta hun tu bhi jalta hai