bayan-e-'ghaalib'-e-rangin-nawa hai qalam shair ka sajde mein jhuka hai pae tazim saf-basta hain alfaz dil-e-shair mein ek tufan bapa hai aqidat us se har ahl-e-nazar ko ki wo fikr-o-nazar ka rahnuma hai wo ghaalib wo shahanshah-e-maani wo 'ghaalib' jis ki azmat ghair-fani salasat aur fasahat allah allah ki dariya-e-sukhan mange rawani bahut ustad-e-shah the aur honge magar hoga na koi us ka sani zarafat us ki fitrat ka taqaza matanat us ke fikr-o-fan ka jauhar mohabbat ruh us ki shairi ki kahan honge bhala aise sukhnawar zamana kis liye us ko mitata wo insan tha na tha harf-e-mukarrar zaban us ki zaban-e-zindagi hai bayan us ka bayan-e-agahi hai