cigarette

main ki ek aur guzarte hue pal ke hamrah
apni khushbu mein basa

aap hi aap sulagta hua kaghaz ka wajud
hath phaila ke kisi rakh se atte hue bartan mein masal deta hun

rakh ke dher pe kuchh der ko rukta hai dhuan
wo siyah-posh wajud

mujh se kahta hai ke tum waqt ka andaz liye ho lekin
waqt jo roz na jaane kitne

dhime khamosh sulagte hue insanon ko
khak ke bar tale yunhi masal deta hai

waqt ko hath ke phailane ki hajat bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close