yaqin

tu shahr mein nahin hai
tu shahr-e-jaan ke andar

aalam hai zalzalon ka
wahshat bichhi hai har-su

aankhon ki putliyon pe
yaaden tumhaari aansu ban ke ruki hui hain

ek bhid hai agarche
aankhon ke aage har-su

khud ko main dekh kitni tanha si lag rahi thi
phir ek-dam se mujh ko

thandi hawa ka jhonka
barfab kar gaya to

sargoshiyon mein khud ko
main ne yaqin dilaya

tu hai jahan kahin bhi
dil ke qarin hai mere

aaega laut kar tu
mere hi bazuon mein

tu shahr mein nahin hai
tu shahr-e-jaan ke andar

aalam hai zalzalon ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close