kartab ka bas shauq hua tha mere bas ka kaam nahin hai kab socha tha bin soche samjhe main yunhi chal nikla tha chalte chalte mujh ko ye ehsas nahin tha chalna yun dushwar bhi ho sakta hai ek din khauf koi talwar bhi ho sakta hai ek din mere panw kisi lamhe shal ho sakte hain aaj nahin honge shayad kal ho sakte hain kab tak apni sans ki tarah main latkunga apne andar ki tariki mein bhatkunga dil hai ek sire par jaan hai ek sire par na hai ek kinare han hai ek sire par kab tak kartab aur chalega kab main niche aaunga ya main yunhi latke latke sans ko roke mar jaunga mera malik loud-speaker munh mein liye chillata hai girna nahin hai girna nahin hai mujh ko yaad dilata hai mere pair jo pahle shal the khauf ne patthar kar dale hain meri aankh se khun rista hai aur sanson mein chhaale hain niche siti marte logon se tali bajwani hai aankhen bhi band rakhni hain gir apni jaan bachani hai ek sire par main hun duja dur dikhai deta hai mere panw tale shoalon ka shor sunai deta hai niche gira to ain yaqin hai dahki aag mein jalna hoga khauf mein gum hun jaane kab se soch raha hun machhli ki us dor pe aakhir kab tak mujh ko chalna hoga