pahle zamana aur tha mai aur thi daur aur tha wo boliyan hi aur thin wo toliyan hi aur thin, wo holiyan hi aur thin lekin mere pir-e-mughan kal to naya andaz tha ek daur ka tha khatma ek daur ka aaghaz tha tere wafadaron ne jab khelin gulabi holiyan nikle bana kar toliyan hanste chale gate chale apne gulabi rang se duniya ko nahlate chale masjid se munh mode hue mandir ka sang-e-astan chhode hue girja se katrae hue jaise ki hon ruhaniyat ki zindagani hi se ghabrae hue daur-e-wafadari ka ye anjam tha fikr-e-gunahgari ka taza dil-ruba paigham tha tere hi kuche mein ye sab ahd-e-wafa tode gae rishte nae jode gae aur phir gunahgaron ne kya rindana hangame kiye us waqt un ko yaad tha bas ek tarsana tera muflison nadaron ko lalchana tera jab mai-kade ki god mein tere jafa teri saza ke nam par saghar chale sukhe hue kase labaalab bhar chale sab apne lab tar kar chale phir tod din wo pyaliyan jin mein sada pi aae the shishe chhana chhan chhan chhana chhan tutte aur rind lazzat lutte tute hue shishon ka ek ambar tha shishon ke is ambar mein ek wo bhi kohna jam tha jis ko sikandar ke qawi haikal jawan bhage the poras ki zamin ko chhod kar un mein wo kase bhi to hain jin ko arab le aae the apni aba se dhanp kar pine se pahle dekhte the mohtasib ko jhank kar lekin kabhi pine se baz aate na the fateh jo the un mein hain aise jam bhi jin par pathanon ke qawi hathon ke dhundle se nishan kuchh aaj bhi maujud hain aur un nishanon mein hai khun maftuh hindustan ka aur un mein hain wo jam bhi jin ko mughal le aae the tatar se qandhaar se kabul se rukna-baad se maftuh hindustan mein jin ko wo apne qasr-e-alishan mein chhalkate rahe teghon se khankate rahe aur wo hasin nazuk subuk halki surahi kis ki hai paris ke mai-khanon mein ye mashhur thi laya tha ek tajir ise jo baad mein fateh bana ye halke shishon ke gilas aur ye nae halke se paig jin par likha hai ye bane the mulk-e-inglistan mein aur haal ki sadiyon mein chalte rahe pine ko mil jati thi pi lete the hum lekin tahi-dasti ka ye aalam tha dil jalte rahe hum aaj ghabra hi gae aur un sabhi shishon ko chaknachur kar dala wufur-e-josh mein chhan chhan chhana chhan tod kar jaise ki barbaadi ki dewi chham-chhama-chham nachti holi manane ke liye mai-khane mein aa hi gae tute hue shishon ke is ambar par hum ne jalai aag yun zardusht ka pakiza dil sachchaiyon par hans diya jaise ki ye kahne laga jalne do jalne do yunhi shishe pighalne do yunhi tere wafadaron ne yun pir-e-mughan shab bhar jalain holiyan nare wo mastane lage is josh mein dil gir pade ehsas ki aaghosh mein aur bol uthe taslim ai pir-e-mughan jate hain hum kal phir palat kar aaenge us waqt is mai-khane mein saman honge dusre tere purane zehn ke mear tode jaenge tamir-e-nau ki jaegi lekin hamare sal-khurda mehrban pir-e-mughan tujh ko bura lagta hai kyun ghairon ka kya tera bhi kya ye mai-kada hum sab ka hai panchayti tu kya hai tera khauf kya kah to diya pir-e-mughan kal palat kar aaenge hargiz na hum baz aaenge kis ko daraata hai ki tum is ki saza pa jaoge gate the hum gate hain hum gaenge hum hargiz na baz aaenge hum jhelenge jite jaenge pairon mein hai zanjir lekin tut bhi sakti hai ye han aaj hasti qaid hai kal chhut bhi sakti hai ye gane de gane de hamein dhumen machane de hamein shishe ko shishe se ladane de hamein chhan-chhan-chhana-chhan ki sada badhne de badhne de abhi hum mast o be-khud nachte gate jalate todte hanste rahen chalte rahen aur tu bhi khud pir-e-mughan holi ke naghme san zara aur dekh apni aankh se tere wafadaron ne kya khelin gulabi holiyan munh mai-kade se mod kar holi ki ye toli chali gulzar mein sabze lachakti daliyan gunjaan, sundar jhadiyan pani ki sinchi kiyariyan, kanton mein chubhti pattiyan ye sab sahi lekin yahan wo shai kahan jis ke liye mashhur hai angur-e-nab han kya kaha pir-e-mughan talwon ke niche phul hain in mein se do ek chun bhi lun khali hain gul-daste tere tujh ko nahin malum abhi khali ye gul-daste tere khali hi rah jaenge ab phulon ne thani hai ki shakhon hi pe mar jaenge ab aur tere kamron mein wo na aaenge ab munh-band kaliyan ab kahan jo apni sundar mohni muskan kar den raegan aur apna gulshan chhod den sine mein khushbuen liye aur ajnabi mahaul mein taq-e-nazar ki kanpti zinat banen kaliyon ke munh ab khul chuke munh-band kaliyan ab kahan kaliyan kahan ye phul hain khak-e-chaman ki god mein aaram-e-jaan ye phul hain aatish-zaban ye phul hain aur dekh tu ye phul kitne shokh hain jo tut kar shakhon se gir jate hain teri rah mein ai dil-kash pir-e-mughan ye chahte hain rok den gulzar mein rahen teri tere liye chaara hi kiya ab rah gaya in be-haya phulon ki aankhon ka to pani bah gaya ab hain ye un ki juraten rokengi tere raste tu bhi khuda ke waste in ko kuchal de pis de warna khuda-na-khwasta ye rok hi len rasta kaliyan nahin kante hain ye kanton se bhi bad-tar hain ye nashtar hain ye khanjar hain ye gulzar mein tere qadam kuchh aaj to aae nahin tu ne unhin sabzon pe ki hai mai-kashi sadiyon se tera daur hai gulzar par hai haq tera tu dar gaya pir-e-mughan kitna bhayanak khwab tha tabir kuchh bhi ho magar tere wafadaron ne kal kis aan se kis ban se kis shan se khelin gulabi holiyan