khaliq ne jab azal main banaya clerk ko lauh o qalam ka jalwa dikhaya clerk ko kursi pe phir uthaya bithaya clerk ko afsar ke sath pin se lagaya clerk ko miti gadhe ki dal kar us ki sarisht mein dakhil mashaqqaton ko kiya sarnawisht mein chaprasi sath khuld mein jab le gaya use huron ne kuchh mazaq kiye kuchh malak hanse hatif ki dafatan ye sada aai ghaib se dekho ise jo dida-e-ibrat-nigah hai aadam ka rough-draft hai kab tak hansoge tum approwe ho kar aaya to sajda karoge tum jannat mein filen hain na hai koi diary huren to jaanti hain faqat tarz-e-dilbari ghilman se kuchh kaho to sunae khari khari ye intizam hai ye discipline hai daftari main sochta hun kya karun aisi bahisht ko tedha laga hai qat qalam-e-sarnawisht ko khuld-e-barin ko naz tha apne makin par aur ye bhi the mite hue ek hur-e-in par lalach ki mohr kanda thi dil ke nagin par t-a wasul karne ko utra zamin par iblis raste mein mila kuchh sikha diya utra falak se third mein inter likha diya rakkha qadam clerk ne jis dam zamin par dekha har ek chiz hai qudrat ke din par bola ki main to zinda rahunga routine par mujh par machine hogi main hunga machine par is aahani sanam ki ibaadat hai mujh pe farz naukar hun baadshah ka jita hun le ke qarz ai secretariat ki imarat zara bata us waqt jabki jate hain afsar bhi baukhla hota hai kaun kashti-e-file ka nakhuda afsar nahin hain is ki haqiqat se aashna par hum ye jaante hain ki insan hain clerk dariya-e-red-tape ka tufan hain clerk
This is a great gadhe ki shayari. True lovers of nose pin shayari will love this. Please share if you liked this!!!