mushaire ka bhi tafrih aim hota hai mushaire mein bhi cricket ka game hota hai wahan jo log khiladi hain wo yahan shaer yahan jo sadr-nashin hai wahan hai empire wahan pe shart ki ho zor-e-bazu-e-mahmud yahan ye qaid ki ho lahn-e-hazrat-e-daood wahan tamaddun-e-mashriq ki maut ka gham hai yahan adab ke janaza pe shor-e-matam hai wahan riyaz-e-musalsal se kaam chalta hai yahan gale ke sahaare kalam chalta hai wahan bhi khel mein no-ball ho to faul hai yahan bhi sher mein ihmal ho to faul hai wahan hai lbw yahan ye chakkar hai ki andalib muannas hai ya muzakkar hai wahan bhi sirf muqaddar ka khel hota hai jo unlucky hai yahan bhi wo fail hota hai wahan hai ek hi kaptan puri team ki jaan yahan har ek player bajae khud kaptan yahan kuchh aise bhi kaptan pae jate hain jo ran banate nahin hit lagae jate hain wahan jo log anadi hain waqt katte hain yahan bhi kuchh mutashaer dimagh chatte hain hua kare agar score us ka zero hai yahan jo shakhs phisaddi hai wo bhi hero hai nigah jin ki pahunchti hai hashw o ita par bana diya hai yahan un ko back stoper adab-nawaz pe shout yahan bhi hote hain ye bad-nasib ran-out yahan bhi hote hain 'hanif' bhi koi bogus cricketer to nahin magar 'asar' se ziyaada free-hiter to nahin baja hai 'fazl' ke sixer pe marhaba kahna magar 'firaq' ki baundary ka kya kahna mere khayal ko ahl-e-nazar karenge catch mushaira bhi hai ek tarah ka cricket match
This is a great cricket shayari in urdu. True lovers of khiladi shayari in hindi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this shayari ball paper is truly a work of art. Please share if you liked this!!!