concrete jangal mein concrete chattanen pattharon ki basti mein zindagi nahin milti munjamid hain sochen bhi aagahi nahin milti concrete jangal mein concrete jhilen hain tarkol ki nadiyan bah rahi hain har jaanib anginat siyah patthar tairte hain nadiyon mein dubte hain jhilon mein dub kar ubharte hain jhil ke kinaron par pattharon ke gul-bute jin se aanch aati hai dhad se darindon ki ruh kanp jati hai kuchh nazar nahin aata kis qadar andhera hai fikr ka ujala bhi qaid hai hisaron mein concrete jangal mein aise kitne patthar hain jin ke sakht chehron par waqt ki kharashen hain jin ke rup mein koi dilkashi nahin lekin phir bhi un ke sine mein ek dard palna hai in siyah aankhon mein ek dip jalta hai