1 shahr khali karwa liya jata hai aur waba ke dinon mein mohabbat mamnu’ qarar pati hai kiraya-namon se kai shahron ke nam ghaeb ho jate hain aur sahili aankhen dak ke intizar mein budhi hone lagti hain march ki sada-bahaar sah-pahron mein waqt kabhi kabhi jhurjhuri le kar uthta hai aur phir unghne lag jata hai train ek sunsan station par rok li jati hai 2 yahan maut kadwe baadamon ki mahak ban kar phail rahi hai sard aankhen be-rang chehre us ki dahshat se pathrane lage hain purane darakhton ki daradon mein sanp base hain sal-khurda haweli kisi qadim peshin-goi ke khauf mein dubi hai aur chandni bagh ko jhadte patton ki chadar ne dhanp liya hai 3 suno agar boson pe ‘aed pabandi khatm hone se pahle main laut kar na aa saka to to ye khat meri aakhiri nishani samajh kar mahfuz kar lena 4 ranj-bhari dopahar gulabi shamon ki yaad mein tulu' hoti hai aur sae lambe ho kar aankhon tak aa jate hain qasba udas hai ki is bar nauroz ka tehwar manaya nahin ja saka gul-e-do-pahri ke phul gamlon mein murjha gae hain gharon ki khidkiyon par jasti chadaren chadhi hain kamre mein nim-tarik mohabbat ki yaadgaren dhundla rahi hain aur photo frames pe jami gard siyah hone lagi hai 5 sabz lahren jazire ka kinara katti hain to surkh barish khaprail ki chhaton par nachne lagti hai main ye nazm purani rum ki botal mein dal kar samundar ke hawale kar raha hun agar aakhiri suraj ghurub hone se pahle ye tumhein mausul ho jae to meri taswir ke sath wale frame mein laga dena 6 meri sari zamin girwi rakh li gai aur pura aasman sar se chhin liya gaya wo waba ke ibtidai din the jab tum mere qarib aain aur waba khatm hone se pahle rukhsat ho gain tumhaare jaane par sara qasba udasi se bhar gaya lekin main apni aankhon mein do bund aansu bhi ikatthe na kar saka ek jhulasti sham mein mujhe khurche hue siyah lafzon ka wasiyyat-nama unhon ne thamaya jinhon ne kisi raushan tehwar par mujhe yaad nahin kiya tha 7 main yahan ukhadti sanson mein paiwand lagate thak chuka hun pushtaini siyah chadar mere shane udhed rahi hai ek din main isi chadar mein lipta is zamin mein so jaunga jahan mujhe jaanne wala koi nahin hai