kya rumani lamha tha shoara par ye shart lagi thi chhat par pura chand dekh kar sab ko nazm sunani hogi pure chand ko takte takte main ne bhi ek nazm sunai mere liye wo nazm nahin thi bel koi angur ki thi jis ne mera khun piya tha chand ne lekin sher sune to wo behad mashur hua tha aisa laga ki us ke tan se chhalbal udti dhul sunahri sunne walon ki palkon par aa baithi ho logon ne yun dad mujhe di goya chand ke copyright mere hun main ne apni nazm sunai urdu mein kya rumani lamha tha