mohabbat aah teri ye mohabbat raat bhar ki hai teri rangin khalwat ki latafat raat bhar ki hai tere shadab honton ki inayat raat bhar ki hai tere mastana boson ki halawat raat bhar ki hai mah-e-raushan hai tu aur teri talat raat bhar ki hai gul-e-shabbu hai tu aur teri nikhat raat bhar ki hai tu kya jaane ki sauda-e-mohabbat kis ko kahte hain mohabbat aur mohabbat ki latafat kis ko kahte hain gham-e-hijran hai kya aur soz-e-ulfat kis ko kahte hain junun hota hai kaisa aur wahshat kis ko kahte hain tu kya jaane gham-e-shab-ha-e-furqat kis ko kahte hain tere izhaar-e-ulfat ki fasahat raat bhar ki hai nigah-e-mast se dil ko mere tadpa rahi hai tu ada-e-shauq se jazbaat ko bhadka rahi hai tu mujhe bachche ki surat naz se phusla rahi hai tu khilaune de ke boson ke mujhe bahla rahi hai tu magar nadan hai tu aah dhoka kha rahi hai tu tera ru-e-darakhshan hai ba-zahir mahtab-asa tere honton ki shadabi hai rangat mein sharab-asa tere rukhsar ki mahtabiyan hain aaftab-asa magar in ki haqiqat hai habab-asa sarab-asa ki ghaze ki sabahat us pe chhai hai naqab-asa aur is ghaze ki bhi jhuti sabahat raat bhar ki hai ye mana teri khalwat ki faza ruh-e-gulistan hai teri khalwat ka har fanus ek mahtab-e-larzan hai tera abreshmi bistar nahin ek khwab-e-khandan hai tera jism aafat-e-dil tera sina aafat-e-jaan hai tu ek zinda sitara hai jo tanhai mein taban hai magar kahte hain taron ki hukumat raat bhar ki hai latafat se hain khali tere kumhlae hue bose tarawat se hain khali tere murjhae hue bose nazakat se hain khali tere ghabrae hue bose haqiqat se hain khali tere sharmae hue bose mohabbat se hain khali tere ghabrae hue bose aur in boson ki ye jhuti halawat raat bhar ki hai tere zahrile bose mujh ko jis dam yaad aaenge mere honton pe kale nag ban kar thartharaenge pashemani ke jazbe mujh ko diwana banaenge mere inkar ko nafrat ke khanjar gudgudaenge mere dil ki ragon mein gham ke shoale tair jaenge main samjha! aah samjha! ye masarrat raat bhar ki hai mujhe diwana karne ki masarrat be-khabar kab tak rahegi mere dil mein teri ulfat kargar kab tak mujhe mashur rakkhega ye ishq-e-be-samar kab tak haqiqat ki sahar aakhir na hogi parda-dar kab tak mujhe maghlub kar ke khush hai tu zalim magar kab tak teri ye fath meri ye hazimat raat bhar ki hai