aaj shab bahar na niklo chal rahi hain har-taraf khuni hawaen nafraton ke chha gae hain abr har-su wahshaton ka hai andhera khidkiyon ko band kar do un pe ehsasat ke parde chadha do mez se akhlaq ke kaghaz hata do phad do insaniyat ki sab kitaben ilm ki shamen bujha do band kar lo ungliyon se kan apne shahrahen chikhti hain har gali kuche se aahen aa rahi hain phir rahe hain har taraf khuni darinde apne kamre ko khud apni qabr samjho aaj shab bahar na niklo