tamanna

deti hai be-khudi shauq pe aa kar dastak
hone wali ko ye kahti hai na ho dur bhatak

jaane wali ko ye kahti hai na ja aa mujh tak
aql aade kabhi aati hai to deti hai jhatak

na mitae kabhi mitne ki tamanna meri
aaj to aaj rahegi pas-e-farda meri

dushmanon par kabhi girti hai ye ban kar bijli
doston par kabhi aati hai ye ban kar chhatri

gulshan-e-husn mein udti hai ye ban kar titli
bhes mein us ke mere pas kabhi hai aati

rup kya kya nahin bharti hai tamanna meri
khel kya kya nahin karti hai tamanna meri

kabhi aaqil kabhi kahti hai ye nadan mujhe
chain deti kabhi karti hai pareshan mujhe

guzri baaton se bana deti hai anjaan mujhe
aalam-e-jazb mein rakhti hai ye har aan mujhe

saz ishrat ke bajati hai tamanna meri
khwab farda ke dikhati hai tamanna meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close