dadi ka tha daulat-khana ghar kya tha ek jannat-khana bachpan mera guzra is mein be-shak tha wo shafqat-khana bawarchi-khane mein is ke lakdi ka tha neamat-khana khane is mein itne sare samjho jaise hairat-khana khane pine ki chizon ka lagta tha wo barakat-khana shirini bhi namkini bhi har khana tha lazzat-khana dudh is mein aur lassi us mein aur is mein ek sharbat-khana phal aur sabzi ki khushbu se har dam jaise nikhat-khana yaad aate hain din bachpan ke aur dadi ka neamat-hana