do Tuk

shadi ke chand roz to chhedi na koi baat
hail hamare beach rahe kuchh takallufat

phir ek din jo un se meri guftugu hui
do tuk baat-chit hui du-badu hui

puchha ki nashte ka koi intizam hai
bolin mujhe pata ho tu mujh par haram hai

main ne kaha ki chae ki pyali ata karen
kahne lagin ki baat na aisi kiya karen

main ne kaha chalen zara anda ubaal den
bolin mujhe na aap ye kar-e-muhaal den

puchha ki jaanti to hain chawal ubaalna
bolin bala ab apni mere sar na dalna

main ne kaha ki hai koi roti ka aasra
bolin khule hue to hain tandur ja baja

main ne kaha ki gosht pakane ki tab hai
bolin ki tin ke paik mein sab dastiyab hai

main ne kaha ki dal ya sabzi banaiye
kahne lagin khayal ye dil se nikaliye

main ne kaha ki khana pakana hai zindagi
bolin ki jo pake use khana hai zindagi

aapas mein faisla koi karna tha hum ko aaj
puchha karega kaun bhala ghar ka kaam-kaj

bolin ki kaam karne ki khugar nahin hun main
biwi hun aap ki koi shauhar nahin hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close