ek khush-gawar din jab log apne daftar aur bachche school waqt par pahunch jate hain dahshat-gard shaer apne khwabon ki banduq le kar hawai-firing shurua kar dete hain koi halak nahin hota koi zakhmi nahin hota kisi ko dar nahin lagta kisi darakht se ek patta tak nahin girta kisi khidki ka shisha bhi nahin tutta shaer apna kaam jari rakhte hain magar sham hone tak kisi diwar mein ek surakh tak nahin kar pate kisi darwaze par nishan bhi nahin dal pate log hasb-e-mamul gharon ko wapas aate hain bachche raston mein cricket khelte hain lekin kisi ko khwabon ke khali kartoos nahin milte dahshat-gard shaer kahin nazar nahin aate jab raat hoti hai to achanak andhere mein kabhi raushni ki lakiren aasman ki taraf jati nazar aati hain isi mamuli chamak mein sitare apna rasta banate hain isi raste par dahshat-gard shaer apni banduq liye zindagi bhar parade karte rahte hain