main apni sochon ke daeron mein talashta hun usi bashar ko jo daeron ka makin nahin hai jise hai pabandiyon se nafrat jo bandishon ka amin nahin hai jo samne hai magar nahin hai main apni sochon ke zawiyon ko badalna chahun to kaise badlun ki daere to hain tin sau sath degreeyon ki fasil aisi nahin hai rah-e-farar jis mein main apna rasta badalna chahun to kaise badlun jahan se bhi ibtida karunga wahin pe hi ikhtitam hoga main daeron mein bhatak raha hun talashta hun pukarta hun usi bashar ko jo mere andar chhupa hua hai main khud bhi aisa hi daera hun jo apne andar bhatak raha hai meri ye aankhen kuchh aise sapnon ko bun rahi hain jo daeron ki hudud se hi na-ashna hain main apni aankhon ke daeron mein utar sakun to wo lal dori udhed dalun jo aise sapnon ko bun rahi hai ki jin ki tabir main nahin hun