dagh

fasana-e-gham-e-dil ab nahin sune jate
shab-e-firaq mein tare nahin gine jate

dil-o-jigar mein hai ek dard kahkashan ki tarah
ghalat jagah kabhi afshan nahin chune jate

lagi hai chot musalsal kuchh is tarah dil mein
ki hum se dagh-e-jigar bhi nahin gine jate

asar ho jis ka wahi sher sher hai 'nashad'
har ek sher pe sar bhi nahin dhune jate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close