dil-e-mayus bata ai dil-e-nakaam bata mubtala-e-sitam-e-gardish-e-ayyam bata ji ke main kya karun duniya mein mera kaam hai kya khun ummid ka hota hai sar-e-bazm-e-tarab ban gaya hausla gham hi musibat ka sabab ji ke main kya karun duniya mein mera kaam hai kya dard badh jae agar chaaragari kaun kare hai kathin rah-e-wafa rahbari kaun kare ji ke main kya karun duniya mein mera kaam hai kya gulshan-e-shauq mein kanton ke siwa kuchh na mila hae duniya mein wafaon ka sila kuchh na mila ji ke main kya karun duniya mein mera kaam hai kya justuju kis ki hai 'nashad' koi kya jaane kyon dil-e-zar hai barbaad koi kya jaane ji ke main kya karun duniya mein mera kaam hai kya