dahakti hui yaad

mere badan se takraati hai
us ka lams

mujhe pagal sa bana deta hai
main chikh padta hun

gosht jalne ki bu
faza mein phailne lagti hai

meri aankhon mein
rahne wale aansuon mein

ek chhanake ke sath
dahakti hui yaad

sard hone lagti hai
main

aas-pas ke manzar-name ko dekhta hun
jo badla hua hota hai

main sard padne wali yaad ko
bhatti mein rakhta hun

aur dobara
dhonkni chillane lagta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close