lafz apni jagah se aage nikal jate hain aur zindagi ka nizam tod dete hain apne jaise lafzon ka gath bana lete hain aur tut jate hain un ke tute hue kinaron par nazmen marne lagti hain lafz apni sakht aur taqdir mein kamzor ho jate hain mamuli shikast un ko khatm kar deti hai un mein tut kar jud jaane se mohabbat nahin rah jati in lafzon se bad-surat aur be-tartib nazmen banne lagti hain saffaki se kat diye jaane ke baad un ki jagah lene ko ek aur khep aa jati hai nazmon ko mar jaane se bachane ke liye har roz un lafzon ko juda karna padta hai aur un jaise lafzon ke hamle se pahle nae lafz phunchane padte hain jo aisa kar sakta hai shaer rah sakta hai