patle patle honton par hain aankhon jaisi moti baaten aisi baaten kyun karte ho zulfen sapne phul aur jazbe achchha han ek baat batao kal tum itne chup chup kyun the khamoshi se yun lagta tha jaise sapne tut rahe hon mujhe khabar hai meri khatir tum ne kya kiya kukte kukte dal se koyal ud jati hai man ka mandir reza reza ho jata hai main kya jaanun tum ne kya kya dukh jhele hain achchha aao wada kar len aisi baaten nahin karenge lekin han naraaz na hona dekh mujh se milte rahna bolo ab main jaun yahan se main aur wo ab patthar ke hain usi jagah par khade hue hain jaane kab se gade hue hain ek patthar mein aawazen hain ek patthar mein sannata hai sannata aawaz ka parda aawazen sannate ka bolo ab main jaun yahan se main kahta hun ja sakte ho