dekho pardon ko achchhi tarah khinch dur aur sab khidkiyan band kar do aur us band kamre se bahar niklo us mein bosida sofon pe ek mota kapda chadha kar tum ne un ko is andaz se rakh diya hai ki ab daen kone mein ukhdi safedi pe silan ke dhabbe kam-o-besh nazron se poshida hain aur baen taraf tute dibbon purane khaton zang-alud tuti paleton aur bosida pinjron ke ek dher ko tum ne ek lambi chaudi si chadar se achchhi tarah dhak diya hai aur ab baqi kamra bada saf-suthra nazar aa raha hai dekho tuti hui carnas ko bhi ek shokh kapde se dhak kar us par wo zar-shamen jala do ki jin ki sisakti hui raushni mein tumhaare khad-o-khal malum hote hain mauzun aur kone mein rakhe hue chhote recordplayer par hawa disk rakh do ki jis mein purani si ek lai mein bas chand lafzon ki takrar hai dekho us band kamre se bahar na niklo kabhi bhul kar bhi barabar ke kamre mein hargiz na jao kyun ki wo sal-ha-sal se band hai ye bhi mumkin hai zahrile kide-makode wahan pal rahe hon ye bhi mumkin hai ab tak wo bhuton ka ghar ban chuka hai dekho us band kamre se bahar na niklo kyun ki mumkin hai ab tak wo zakhmi barahna band bagh ke ek goshe mein dam todte hon han agar ho sake to kisi se kaho un ke khun-gashta jismon pe zartar lafzon ki poshak dhak kar un ko bahar padi kursiyon par bitha de ta ki us rah se koi guzre to kah de ki sab thik hai tum magar phir bhi sab khidkiyan band rakho aur pardon ko achchhi tarah khinch do aur us band kamre se bahar na niklo dekho us band kamre se bahar na niklo