mere nafs ki wadiyon mein yahan se nikal chalne jaisi hawa chal rahi hai ufuq-ta-ufuq ek mahakta dhuan hai sada zaiqe rang aur lams khushbu mein tahlil hone lage hain mah-o-sal-e-rafta shab-o-roz-e-ainda lamhe mein tabdil hone lage hain zaman ek sakta makan ek nuqta lakiren adad harf sare nam-alud kaghaz ki tarkib mein ghul rahe hain qaba-e-badan sarsaraati hai asrar-e-jan zer-e-band-e-qaba khul rahe hain koi sarmadi lau si utthi hai jis se faza jal rahi hai hawa chal rahi hai