ba-zahir kahin koi halchal nahin hai hayat-e-rawan apne markaz se chimti hui hai bahut aam be-kar uljhe dinon ki mulaem si gathri mein rakkhi hui ek be-nam si dopahar hai hawa chal rahi hai na jaane kahan gahre bechain baadal ke tukde ude ja rahe hain pareshan sadkon pe bahte hue zard patte faza mein bikharta hua kuchh ghubar-e-musalsal zara pal do pal ko bahut dur patton pe hansta hua tez suraj magar phir chamakti hui ek kiran par jhapatte hue gadle baadal khule aasman par thaharte nahin hain hawa chalti rahti hai rukti nahin hai darakhton pe shakhen idhar se udhar dolti hain idhar se udhar meri chashm-e-tasawwur mein udte hue chand tukde lapakte jhapakte khayalat ke maile baadal kahin sath-e-dil par thaharte nahin hain ba-zahir jahan koi halchal nahin hai magar ye ghubar-e-musalsal udae chali ja rahi hai hawa chalti rahti hai rukti nahin hai hayat-e-rawan apne markaz se chimti hui hai magar be-nam si dopahar ke sukut-e-nihan mein ajab be-kali hai