to kya danish-wari suraj-mukhi ka phul hoti hai ki jo bhi zeb-e-mimbar ho sarir-ara-e-masnad ho ufuq par jo ubhar aae usi ki samt hum dekhen sar-e-taslim kham kar ke musahib shah ke ban jaen to kya danish-wari suraj-mukhi ka phul hoti hai siyasat ke ufuq ka jab koi manzar badal jae qayaadat bhi nai aae to us ke baad ye sochen guzashta daur kaisa tha awami tha ki fastai niraji tha ki jamhuri hamara hukmran kya tha hamara taur kaisa tha hamara taur kaisa tha guzashta daur kaisa tha to kya danish-wari suraj-mukhi ka phul hoti hai