naujawanan-e-watan shan-e-watan ban jao tum hi kashti bhi ho sahil bhi ho manjhi tum ho ahl-e-ulfat ke liye gautam-o-gandhi tum ho waqt pad jae to tipu se sipahi tum ho tum ne har daur mein rakkhi hai yunhi shan-e-watan raat tarik hai suraj ki kiran ban jao pak jamuna ki qasam azmat-e-ganga ki qasam marmarin taj ki diwar-e-ajanta ki qasam sar uthae hue is koh-e-himala ki qasam zarre zarre ke labon par hai mohabbat ka bhajan pyar ki rah mein tum prem pawan ban jao apni dharti ko har aafat se bachana hoga bhuk aur qaht ki lanat ko mitana hoga sakht chattanon ko gulzar banana hoga lahlahate hue kheton ki ye rangin phaban dhup hai tez bahut saya-fagan ban jao