Dar

umr ki dhup dhalne wali hai
zindagi sham karne wali hai

koi aawaz de raha hai mujhe
sath chalne ko kah raha hai mujhe

jaana sab ko hai jaana hi hoga
dar nahin ye ki jaane kya hoga

kis tarah ruh badan ko chhodegi
is ka maskan bhala kahan hoga

jaane kaisa naya makan hoga
gor mein jaane kaisi guzregi

reza reza badan jo bikhrega
dar nahin ye ki jaane kya hoga

jaisi karni hai waisa katungi
nekiyon par hai e'tibar mujhe

apne aamal par bharosa hai
dar to bilkul nahin hai kya hoga

dar to bas sirf itna hai
dur pardes hain mere pyare

waqt-e-rukhsat wo aa sakenge kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close