sannaTa chiKH uThta hai

hawa lal inton ki galiyon se guzarti
silan-zada kothariyon mein bachche janti hai

ghuti ghuti sansen leti hui
jab bahar nikalti hai

to thand se kubdi ho chuki hoti hai
sidha chalne ki khwahish mein

unche niche raston par
ghodon ke sumon tale

kichad mein lat-pat sar patakhti
uthne ki koshish karti hai

aur rengte rengte kisi haweli mein ja ghusti hai
jahan raat ka sannata bain kar raha hota hai

qadmon ki manus si chapon se
haweli ke sannaton mein

gunj ki daraden padne lagti hain
hawa kise dhundhti hai

wo jaanti hai ki pasaron mein ajdad ke fan ka loha
sanduqon mein bhara pada hai

purkhon ke afkar
shelfon par qarine se saje hain

ek bade kamre mein gol mez par
kroshiye se kadhe hue rumal mein

us ne apni aankhen bhi kadh di hain
wo roti hui

rumal mein kadhi hui aankhon ko chumti hai
aur haweli ke dar-o-diwar se lipti hui

aakhiri nishani talash kar rahi hoti hai
ki sannata chikh uthta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close