phir phurere ban ke mere tan-badan ki dhajjiyan shahr ke diwar-o-dar ko rang pahnane lagin phir kaf-aluda zabanen madh o zam ki qumchiyan mere zehn o gosh ke zakhmon pe barsane lagin phir nikal aae hawasnakon ke raqsan taife dardmand-e-ishq par thatthe lagane ke liye phir duhal karne lage tashhir-e-ikhlas-o-wafa kushta-e-sidq-o-safa ka dil jalane ke liye hum ki hain kab se dar-e-ummid ke daryuza-gar ye ghadi guzri to phir dast-e-talab phailaenge kucha o bazar se phir chun ke reza reza khwab hum yunhi pahle ki surat jodne lag jaenge