aur kuchh der mein jab phir mere tanha dil ko fikr aa legi ki tanhai ka kya chaara kare dard aaega dabe panw liye surkh charagh wo jo ek dard dhadakta hai kahin dil se pare shola-e-dard jo pahlu mein lapak utthega dil ki diwar pe har naqsh damak utthega halqa-e-zulf kahin gosha-e-rukhsar kahin hijr ka dasht kahin gulshan-e-didar kahin lutf ki baat kahin pyar ka iqrar kahin dil se phir hogi meri baat ki ai dil ai dil ye jo mahbub bana hai teri tanhai ka ye to mehman hai ghadi-bhar ka chala jaega us se kab teri musibat ka mudawa hoga mushtail ho ke abhi utthenge wahshi sae ye chala jaega rah jaenge baqi sae raat-bhar jin se tera khun-kharaba hoga jang thahri hai koi khel nahin hai ai dil dushman-e-jaan hain sabhi sare ke sare qatil ye kadi raat bhi ye sae bhi tanhai bhi dard aur jang mein kuchh mel nahin hai ai dil lao sulgao koi josh-e-ghazab ka angar taish ki aatish-e-jarrar kahan hai lao wo dahakta hua gulzar kahan hai lao jis mein garmi bhi hai harkat bhi tawanai bhi ho na ho apne qabile ka bhi koi lashkar muntazir hoga andhere ki fasilon ke udhar un ko sholon ke rajaz apna pata to denge khair hum tak wo na pahunche bhi sada to denge dur kitni hai abhi subh bata to denge