kaise niklega jite-ji dil se dar ka ka sahib kab khauf ki wahshi galiyon mein bhatki hui saat lautegi? kab andeshon ke sanp mere pedon se lipatna chhodenge? sahme hue shabdon ko apne sine se lagae baithi hun kaise batlaun kyun mujh ko din ke zahrile hathon se! shamon ke surkh aasebon se, raaton ki be-dil aankhon se! aur aas ke aathon pahron se! dar lagta hai khwabon ke ran mein pade hue khwahish ke adhure jismon se aur man ki ruh mein gade hue tar panjon se jaani-pahchani aankhon mein pinhan an-jaani wahshat se rishton ke mazbah-khanon se bandhan ki zinda lashon se dar lagta hai is jism ki diwaron mein hai dar ka khasta gara sahib shishe mein raqsan sayon se, sanson aur aawazon se pal pal mein badalte rangon se! dar lagta hai nili pad jati hun sahib chehre ki pili rangat ko kab tak main chhupaun ghaze mein?