raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kadiyan kal jahan ruh jhulas jati thi apne sae se bhi aanch aati thi aaj usi dasht pe sawan ki lagi hain jhadiyan raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kadiyan shab ko jo wadiyan sunsan rahin subh yun os se aarasta thin har taraf motiyon ki jaise tani hui ladiyan raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kadiyan tod kar panw na baitho aao! subh ke aur qarib aa jao! yun to har haal mein katti hi rahengi ghadiyan raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kadiyan