ajib kucha-e-rashk-e-jinan tha dehli ka bahisht kahte hain jis ko makan tha dehli ka dimagh bar-sar-e-haft-asman tha dehli ka khitab-e-khitta-e-hindostan tha dehli ka ghazab hai us ko koi shadman na dekh saka zamin na dekh saki aasman na dekh saka hazaron zulf-e-pari-wash ke yan the saudai hazaron mai-kash-o-mai-khwar-o-mast-o-sahbai sharab-e-aish pilata tha charkh-e-minai qubul karte the is dar pe sab jabin-sai jo aata tha so wo ho rahta tha usi ghar ka zamin ki naf hai kaba hai batn-e-madar ka wo takht-e-saltanat-o-bargah-e-sultani ki jis mein baithte the aa ke zill-e-subhani paron se sar pe huma karta tha magas-rani baja us auj pe tha dawa-e-sulaimani har ek qasr ko dawa tha taq-e-kisra ka dimagh arsh pe tha qila-e-mualla ka zuhal ki aankh padi ittifaq se nagah tamam ho gaya taraj mulk-o-mal aur jah ki us se ho gae bad-tar gharib shahanshah raiyat us ki hui us se bhi ziyaada tabah wo sahukar na tha jis ki sakh mein batta ab us ke nam pe lagta hai lakh mein batta mila ye hukm ki sab log yan se tal jaen isi mein khair hai jo shahr se nikal jaen dabi hai buqchi to dikhla ke yan baghal jaen jo kuchh hai chhod yahan sahab-e-dawal jaen na sar pe topi hai un ke na panw mein juti baghal mein tote ka pinjda nabi-ji bhejo ji yahan jo aan ki dekhi to dar ki surat wo dar kahiye jise zulfiqar ki surat mita di chashm-e-zadan mein hazar ki surat nazar padi na kisi be-qarar ki surat ba-rang-e-tir-e-shahab aag mein jale lakhon sipurd dar-o-rasan ho gae gale lakhon