dekh aae hum bhi do din rah ke dehli ki bahaar hukm-e-hakim se hua tha ijtama-e-intishaar aadmi aur jaanwar aur ghar muzayyan aur machine phul aur sabza chamak aur raushni rail aur tar kerosene aur barq aur petroleum aur tarpin motor aur airplane aur jamghate aur eqtidar mashriqi patlun mein thi khidmat-guzari ki umang maghribi shaklon se shan-e-khud-pasandi aashkar shaukat-o-iqbaal ke markaz huzur-e-emperor zinat-o-daulat ki dewi empress aali-tabar bahr-e-hasti le raha tha be-daregh angdaiyan thames ki amwaj jamuna se hui thin ham-kanar inqilab-e-dahr ke rangin naqshe pesh the thi pae-ahl-e-basirat bagh-e-ibrat mein bahaar zarre viranon se uthte the tamasha dekhne chashm-e-hairat ban gai thi gardish-e-lail-o-nahaar jame se bahar nigah-e-naz-e-fattahan-e-hind hadd-e-qanuni ke andar honorablon ki qatar kharch ka total dilon mein chutkiyan leta hua fikr-e-zati mein khayal-e-qaum ghaeb fil-mazar dawaten inam speachen qawaid fauj camp izzaten khushiyan ummiden ehtiyaten e'tibar pesh-rau shahi thi phir his-highness phir ahl-e-jah baad is ke shaikh sahab un ke pichhe khaksar