khuda ali-gadh ke madrase ko tamam amraaz se shifa de bhare hue hain rais-zade amir-zade sharif-zade latif o khush-waza chust o chaalak o saf o pakiza shad-o-khurram tabiaton mein hai in ki jaudat dilon mein in ke hain nek irade kamal-e-mehnat se padh rahe hain kamal-e-ghairat se padh rahe hain sawar mashriq rah mein hain to maghribi rah mein piyaade har ek hai in mein ka be-shak aisa ki aap use chahte hain jaisa dikhawe mahfil mein qadd-e-rana jo aap aaen to sar jhuka de faqir mange to saf kah den ki tu hai mazbut ja kama kha qubul farmaen aap dawat to apna sarmaya kul khila de buton se in ko nahin lagawat mison ki lete nahin wo aahat tamam quwwat hai sarf-e-khwandan nazar ke bhole hain dil ke sade nazar bhi aae jo zulf-e-pechan to samjhen ye koi policy hai electric light us ko samjhen jo barq-wash koi kude nikalte hain kar ke ghol-bandi ba-nam-e-tahzib o dard-mandi ye kah ke lete hain sab se chande jo tum hamein do tumhein khuda de unhen isi baat par yaqin hai ki bas yahi asl kar-e-din hai isi se hoga farogh-e-qaumi isi se chamkenge bap dade makan-e-college ke sab makin hain abhi unhen tajrabe nahin hain khabar nahin hai ki aage chal kar hai kaisi manzil hain kaise jade dilon mein in ke hain nur-e-iman qawi nahin hai magar nigahban hawa-e-mantiq ada-e-tifli ye shama aisa na ho bujha de fareb de kar nikale matlab sikhae tahqir-e-din-o-mazhab mita de aakhir ko din-o-mazhab numud-e-zati ko go badha de yahi bas 'akbar' ki iltija hai janab bari mein ye dua hai ulum o hikmat ka dars in ko professor den samajh khuda de