main ne jo zulm kabhi tujh se rawa rakkha tha aaj usi zulm ke phande mein giraftar hun main main ne jo tir tere hath se chhina tha kabhi aaj usi tir ke ghaw se nigun-sar hun main jis ki khatir teri zillat bhi gawara thi mujhe aaj usi paikar-e-ismat ka khata-kar hun main meri aaankhon ne jise chand kaha tha kal tak aaj usi shoala-e-parran se araq-bar hun main tu na chahe bhi to aafaq hansega mujh par waqt ke hath mein tuti hui talwar hun main main ne chaha tha ki insan ki azmat ke liye ek mazlum jawani ko sahaara de dun ek thukrae hue pyar ke sadme bantun ek bhatke hue rahi ko ishaara de dun ek jhulse hue ehsas ko thandak bakhshun aur kaunain ko phir zauq-e-nazara de dun main ne ikhlas ke phulon se banae gajre main ne ikhlas ke phulon se banae gajre main ne ehsas ke jhulon mein jhulaya us ko main ne rondi hui rahon pe bichhai aanhken main ne paigham sitaron ka sunaya us ko main ne aflas ke dariya ka tamawwuj pi kar ek nai aas ke sahil pe lagaya us ko aaj main soch raha hun shab-e-tanhai mein kis qadar talkh jawani ki luti yaaden hain dekh is daur mein aiwan-e-mohabbat ke liye kaisi kaisi gham-o-andoh ki buniyaaden hain kal tere dida-e-hairan se lahu phuta tha aaj mere lab-e-khamosh pe fariyaaden hain ye mohabbat ye wafaen ye murawwat ye khulus in ko sarmae ne be-kar bana rakkha hai husn aur husn ke har ek sanam-khane ko zar-paraston ne jafakar bana rakkha hai aa ki us daur ka mear badalna hai hamein jis ne har zehn ko bimar bana rakkha hai aa ki us jins-e-giran-qadr ko bedar karen jis ne hum sab ko kharidar bana rakkha hai aa ki us fitna-e-zarposh ko uryan kar den jis ne aafaq ko bazar bana rakkha hai