zulm ki raat bahut jald talegi ab to aag chulhon mein har ek roz jalegi ab to bhuk ke mare koi bachcha nahin roega chain ki nind har ek shakhs yahan soega aandhi nafrat ki chalegi na kahin ab ke baras pyar ki fasl ugaegi zamin ab ke baras hai yaqin ab na koi shor-sharaba hoga zulm hoga na kahin khun-kharaba hoga os aur dhup ke sadme na sahega koi ab mere desh mein beghar na rahega koi nae wadon ka jo dala hai wo jal achchha hai rahnumaon ne kaha hai ki ye sal achchha hai dil ke khush rakhne ko ghaalib ye khayal achchha hai