bahr-kaif jo dard hota hai wo dard hota hai edi mein kanta chubhe to badan tilmilata hai dil zabt karta hai rota hai jo barg tahni se girta hai wo zard hota hai chakki ke paton mein dane to piste hain pani se nikle to machhli tadapti hai tair qafas mein giraftar hon to phadakte hain baadal se baadal milen to kadakte hain bijli chamakti hai barsat hoti hai jo hijr ki raat hoti hai wo hijr ki raat hoti hai hum apni wahshat mein jo bhes badlen koi rup dhaaren samundar baloen ya diwar chaten tasawwur ki jhilmil mein din raat katen pahadon pe chhutti manane ko jaen nadi mein nahaen ghizaon ki lazzat mein sarshaar hon roz poshak par ek poshak badlen kisi itr ki phuwar chhidken charaghon ki rangin lau mein bhare ras bhare hont chhu len sanobar ke baghon mein ghumen magar bojh dil ka jo hota hai wo to ba-dastur hota hai andar hi andar kahin sat pardon mein mastur hota hai! main aaj ki subh mamul se qabl jaga hun khwabida beton ke galon pe bosa diya hai wazu kar ke sajda kiya hai bahut der tak aalti-palti mar kar khud mein gum ho ke yoga ke aasan mein baitha hun sukhe hue sare gamlon ko pani diya hai chhaton khidkiyon aur zinon mein makdi ke jalon ko poncha hai chidiyon ko roti ke reze bhi dale hain lekin jo chhaale mere dil ke hain wo bahr-kaif chhaale hain chhaalon ki sozish se taklif hoti hai dil zabt karta hai rota hai jo dard hota hai wo dard hota hai!!