ye girja hai ki mujh par aasman ki mehrbani hai salibi-jang mein sare sipahi kaam aae ab kise pani pilaogi tum apne daman-e-tar se uthaogi kise phaile hue bazu pe nile nakhunon par rok logi aankh chehra jab zamin par rakh hogi aur mitti phail jaegi tanaben rakh ho jaen to mitti phail jati hai zaminon aasmanon par so girja mujh pe nile aasman ki mehrbani hai ye dariya hai ki mujh par aasman ki mehrbani hai zamin jab rakh ho jae to dariya phail jata hai aur us ko rok leti ho tum apni khushk aankhon mein badan ki aad de kar jab sipahi raste mein baith jate hain bichha dete hain saya pattiyon phulon kinaron ka tumhaare daman-e-tar ka utar jate hain gili jhadiyon mein aag le kar aasman dekha nahin jata to bhigi ret ko sukhi hawa mein chhante hain aur mitti phail jati hai ye mitti mujh ko kal tak aasmanon mein udati thi ye dariya mujh ko kal tak khinch lata tha zaminon par ye mitti phailti jati hai dariya sukhta jata hai mujh par aasman ki mehrbani hai