dard ka nam pata mat puchho dard ek khema-e-aflak is iqlim pe hai saya kunan tum ise qutub shumali kah lo tum jidhar aankh utha kar dekho barf hi barf hai aur raat hi raat hum wo maujud ki jin mein shayad zindagi banne ke aasar abhi baqi the hashraat aise ki jin ko shayad raushni aur hararat ki zarurat thi abhi is andhere mein kaho barf pe rengen kaise koi batlao ki is raat ke aazar se niklen kaise raat aisi ki jo dhalti hi nahin barf aisi ki pighalti hi nahin