may ka aan pahuncha hai mahina baha choti se edi tak pasina baje bara to suraj sar pe aaya hua pairon tale poshida saya chali lu aur tadaqe ki padi dhup lapat hai aag ki goya kadi dhup zamin hai ya koi jalta tawa hai koi shoala hai ya pachhua hawa hai dar-o-diwar hain garmi se tapte bani-adam hain machhli se tadapte parinde ud ke hain pani pe girte charinde bhi hain ghabrae se phirte darinde chhup gae hain jhadiyon mein magar dube pade hain khadiyon mein na puchho kuchh gharibon ke makan ki zamin ka farsh hai chhat aasman ki na pankha hai na tatti hai na kamra zara si jhonpadi mehnat ka samra amiron ko mubarak ho haweli gharibon ka bhi hai allah beli