dard ke saffak hathon se chura kar ek din

dard ke saffak hathon se chura kar ek din
phir usi shadab wadi mein chalen

dur tak phaile hue
chae ke baghat mein

hath le kar hath mein
der tak chalte rahen

aur koi rokne wala na ho
aur lichi ke darakhton ki ghaneri chhanw mein

zafrani odhni par let kar
der tak baaten karen

yak-ba-yak baadal uthen aur bhig jaen tan-badan
aur dhul jaen sabhi mahjuriyan

aur jab gile darakht
jugnuon ki aag se jalne lagen

laut kar aaen to koi tokne wala na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close