udti desh mein gard nahin hai tumhein zara bhi dard nahin hai desh hai apna mante ho na dukh jitne hain jaante ho na ped hai ek par dalen bahut hain dalon par tahniyan bahut hain patte hain rozana ugte pile lekin girte rahte tum ho mali nazar kahan hai chaman ki socho dhyan kahan hai kya tum se har fard nahin hai tumhein zara bhi dard nahin hai chuna tumhein hai kahenge qisse desh dikhe jab hisse hisse log pareshan aag zani hai aur wichaaron mein bhi thani hai nazren chura kar yun na baitho aage aa kar chakr to phenko tum chup ho sab bol rahe hain pankh wo apne tol rahe hain kahe na koi mard nahin hai tumhein zara bhi dard nahin hai bade bhai ho sabaq to sikho chaaron or hain chhote dekho lad lad kar barbaad hain sare katna marna dharm bana re wahan masjidon mein bam phatte dharm hai ek wo phir bhi ladte chale the fakhr se sar uncha tha gadhe the hael kab dekha tha aaj hue kya dekh rahe ho chakkar gidh ke dekh rahe ho are kyun chehra zard nahin hai tumhein zara bhi dard nahin hai hosh mein aao waqt abhi hai rahbar ho aur samay yahi hai jit chunaw fikr sahi hai par ho kya gar desh nahin hai dur dekhna jurm kahan hai sikhne mein koi sharm kahan hai bade ho gar to ban ke dikhao kahan hai shafqat le kar aao dharm kabhi bedard nahin hai tumhein zara bhi dard nahin hai aaj nahin to kal samjhoge lut jaoge tab samjhoge pyar se badh kar astr nahin kuchh ghatiya jhut se wastr nahin kuchh boya jo hai wahi katoge phir un ke talwe chatoge hathon mein kashkol rahenge gale mein apne dhol rahenge phir sar uncha karte rahna ban jaana phir desh ka gahna jago hawa abhi sard nahin hai tumhein zara bhi dard nahin hai