zist yunhi na rahegi maghmum zindagani ko badalna hoga lakh aamada-e-shazish hai ye shab is shab-e-tira ko dhalna hoga maut ka saya larazta hai to kya waqt aalam ko laya hai to kya nama-e-alam jo aaya hai to kya gham ko sah jaen dilawar ban kar pi len dariya ko samundar ban kar gham to aate hi rahenge paiham aate-jate hi rahenge har-dam zakhm khud paida karenge marham gham-o-andoh ki kuchh baat nahin ye koi lamha-e-haihat nahin azm-e-parwaz na dene pae apni aawaz na dene pae raat tarik bhi sunsan bhi hai azm ke git to gaen aao shab-e-dijur ko raushan to karen sham-e-ummid jalaen aao