meri sochen kabhi mujh ko bahut ranjur karti hain mujhi se mujh ko koson dur karti hain main aksar sochta hun phir kisi se baat kar ke waqt ka lamha koi zanjir karna hai dil-e-sada-waraq par nam ek tahrir karna hai magar main apni sochon par amal phir bhi nahin karta jo mere chahne wale hain mujh se khush nahin rahte main ye bhi jaanta hun wo ba-zahir kuchh nahin kahte magar main khana-e-dil ke dariche khole rakhta hun