chandni-raaton ke rasiya us raat bhi us ki rahen dekh rahe the mad-hoshi mein nach rahe the waqt ki maddham hoti lau se thande hote jismon ko ab senk rahe the chand us raat bhi kafi der se nikla tha pichhli kuchh raaton se aksar chand ko der ho jati thi chand ka rasta takte takte chand se chehre wali bachchi rote rote so jati thi chand ko bhi ehsas tha us ka der-sawer to waise bhi ho jati hai koi sabab to hota hoga lekin apni dhun mein raqsan logon ne kab socha hoga aur kisi ne is bare mein socha hoga to us ne is pagal-pan par hans kar kak udaya hoga taza paig uthaya hoga der-sawer to waise bhi ho jati hai lekin chand ko aur kahin se bhi to ho kar aana tha kuchh raaton se sat samundar-par jazire ke tile par baithi tanha ek masum si ladki der talak bas us ko takti rahti hai takte takte ro deti hai jaane kaisa rog laga baithi hai chand ab roz hi is basti se guzra karta us ko takta rahta lekin aakhir kab tak us ko aur bhi aage jaana hota tha us ka rasta dekhne walon mein wo bachchi bhi to shamil thi jo rote rote so jati thi aur wo sab jo chandni-raaton ke rasiya the un ke chehre bhi jaane-pahchane the chandni-raaton ke rasiya us raat bhi us ka rasta dekh rahe the lekin chand ko us ladki ki basti bhi to jaana tha wo ladki jo chand ke andar apne hi mahbub ka chehra takti hai chand ko lekin kuchh raaton se wo ladki ab apni apni lagti hai der-sawer to waise bhi ho jati hai